Wednesday, August 17, 2011

Grahon ka saath!

Us roz tumne apni pareshaniyon me ghir ke kah diya..
"mera grah tumlogon ko lag gaya.."
tab se anginat baar tumhare ye shabd mere kaano me goonj chuke hain aur mujhe andar tak jhakjhor chuke hain..
grah?
Tumne to grahan se nikal kar hume chamakaya hai...
phir ye kaise kaha tumne..
grahon ka kaala saya jab ghabrahat deta hai...
to tumhara naam lene bhar se hi mann me roshni bhar jati hai...
phir ye kaise kaha tumne...
ek nahi hazar grahon se ladi ho tum..
apne raksha mantr ke kavach se hamesha humein baandh kar rakha hai tumne..
phir ye kaise kaha tumne...
grahon ne kai khel khele tumhare saath, akele joojh kar unse jeeti ho tum..
3 ungliyon ko thaam kar har raat ka safar tay kiya hai tumne..
aaj wo 3 haath tumhe sambhalne ko taiyar hain...
phir ye kaise kaha tumne..
aur jahan tak tumhare grahoan ka lagna hai to apne grah to hamesha hamare saath rakhna..
tabhi to aane wale har andhere ko hum tumhare grahon ki roshni se cheer payenge...

1 comments:

Rahul Paliwal said...

आपका ब्लॉग बढ़ा ध्यानाकर्षण करता हैं. परन्तु हिंदी रोमन (गलत हु तो माफ़ कीजियेगा) में पढ़ना बढ़ा दुश्कर्ष लग रहा हैं. आप प्लीज़ देवनागरी मैं लिखे गर संभव हो.
फिर आऊंगा आराम से पढ़ने.