Aaj tumne kaha hai –
Kabhi jana to padega hi,
‘Apne Ghar’!
Kya hua hai tumhe nahi maaloom
Par yah sun kar bahut dukh hua hai!
Yah soch, kitna bhaybhit kar gai hai
Ki tum kabhi, hamare saath nahi bhi rahogi!
-Chup-chap chal dogi
Hamare mann ke bhitar,
Sapno ki rekhaein kheench kar!
Waise main bhi jaanti hun –
‘Apna ghar apna hota hai
Apne ghar ke aangan me
Mann sapno ke moti bota hai’
Par kya, ye tumhara ghar nahi?
Hum tumhare nahi?
Agar nahi, to batana padega –
Kyon nahi?
Abhi-abhi to
tumhare mehatva ko samjhi hun
ye baat samajh me aayi hai-
tum hamare liye kya ho,
is tarah, jaane ki baat mat karo –
aur kuch nahi, to hamare bare me socho
kya meri likhi ye kavita –
tum bhula paogi?
‘Amma door kahin na jana
Alag na hamse hona
Khali ho jayega tere bin
Mann ka har kona’
Vishwas karo,
Is Sach Se Badhkar Koi Sach Nahi Hai!!
This one 4 "amma"- meri naani maa..i wrote it on 22nd Mar,1998 ..
Monday, May 28, 2007
Is sach se badhkar, koi sach nahi hai!!
Posted by Khush... at 10:20 PMLove u amma..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)




0 comments:
Post a Comment